is liye mera ghonsla nahin tha
is liye merā ghoñsla nahīñ thā
ki daraḳhtoñ se rābta nahīñ thā
biich raste meñ chhoḌne vaale
mujh ko manzil kā kuchh pata nahīñ thā
merī tanḳhvāh-e-zindagī meñ sabhī
sirf aa.heñ thiiñ qahqaha nahīñ thā
ye bichhaḌne kī vaj.h thī us ke
dene ko koī vāsta nahīñ thā
pahle pahle sabhī muḳhālif the
kyūñki tanhā thā qāfila nahīñ thā
rab kī jānib maiñ lauTā to 'abadi
sirf shikve the shukriya nahīñ thā
is liye mera ghonsla nahin tha
ki daraKHton se rabta nahin tha
bich raste mein chhoDne wale
mujh ko manzil ka kuchh pata nahin tha
meri tanKHwah-e-zindagi mein sabhi
sirf aahen thin qahqaha nahin tha
ye bichhaDne ki wajh thi us ke
dene ko koi wasta nahin tha
pahle pahle sabhi muKHalif the
kyunki tanha tha qafila nahin tha
rab ki jaanib main lauTa to 'abadi
sirf shikwe the shukriya nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.