Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is liye zer-e-falak be-sabab aazar hai husn

Ameen Hazin

is liye zer-e-falak be-sabab aazar hai husn

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    is liye zer-e-falak be-sabab āzār hai husn

    jaa.e to jaa.e kahāñ ishq ki sarkār hai husn

    bulbul-e-soḳhta-sāmāñ se sunā hai maiñ ne

    ishq ik ātish-e-be-sho.ala hai gulzār hai husn

    saaf aatā hai nazar dīda-e-bīnā ko yahī

    ishq iqrār-e-haqīqat hai aur iz.hār hai husn

    jalva-e-sham.a se parvānoñ ko hosh aatā hai

    ishq kirdār sahī jauhar-e-kirdār hai husn

    ishq bechāra āgāh nahīñ hai varna

    roz-e-mīsāq se ḳhud is talabgār hai husn

    sūrat-e-dā.era-e-kaun-o-makāñ hai is se

    ishq nuqta hai aur is nuqte parkār hai husn

    cholī dāman azal se hai 'amīñ' saath in

    husn ishq hai aur ishq me.aar hai husn

    is liye zer-e-falak be-sabab aazar hai husn

    jae to jae kahan ishq ki sarkar hai husn

    bulbul-e-soKHta-saman se suna hai main ne

    ishq ek aatish-e-be-shoala hai gulzar hai husn

    saf aata hai nazar dida-e-bina ko yahi

    ishq iqrar-e-haqiqat hai aur izhaar hai husn

    jalwa-e-shama se parwanon ko hosh aata hai

    ishq kirdar sahi jauhar-e-kirdar hai husn

    ishq bechaara hi aagah nahin hai warna

    roz-e-misaq se KHud is ka talabgar hai husn

    surat-e-daera-e-kaun-o-makan hai is se

    ishq nuqta hai aur is nuqte ki parkar hai husn

    choli daman ka azal se hai 'amin' sath in ka

    husn ka ishq hai aur ishq ka mear hai husn

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now