is masafat mein kitne dar guzre
is masāfat meñ kitne dar guzre
terī manzil se ham kidhar guzre
the musāfir safar jachā na jinheñ
qāfile un pe raat bhar guzre
merī āñkhoñ ko chhoḌne vaale
merā darvāza band kar guzre
raat pāband hai to din baḳhsho
aa bhī jaao ki dopahar guzre
bad-gumānī se kyā bacheñge ham
bad-gumānī jo aap par guzre
kyā guzartī rahī guzarne tak
aur guzre to be-asar guzre
bazm-e-hastī meñ yaar 'āmir'-ḳhāñ
marne aa.e the aur kar guzre
is masafat mein kitne dar guzre
teri manzil se hum kidhar guzre
the musafir safar jacha na jinhen
qafile un pe raat bhar guzre
meri aankhon ko chhoDne wale
mera darwaza band kar guzre
raat paband hai to din baKHsho
aa bhi jao ki dopahar guzre
bad-gumani se kya bachenge hum
bad-gumani jo aap par guzre
kya guzarti rahi guzarne tak
aur guzre to be-asar guzre
bazm-e-hasti mein yar 'amir'-KHan
marne aae the aur kar guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.