is mein kya jurm kya KHata sahab
is meñ kyā jurm kyā ḳhatā sāhab
dil to Thahrā hī bevafā sāhab
phir kisī dūsre kā sajda ho
phir nayā ho koī ḳhudā sāhab
jo hameñ yaad hī nahīñ the kabhī
kyā bhalā un ko bhūlnā sāhab
vo bhī merī tarah bhulā Dāleñ
kyā kaheñ kuchh kabhī huā sāhab
dil taḌaptā nahīñ hai un ke liye
kar chuke sab davā duā sāhab
hai ye mash.hūr apne baare meñ
vo kisī kā na ho sakā sāhab
ham pe tohmat ki kar diyā badnām
is qadar jhuuT intihā sāhab
zikr aksar kiyā hai ishq kā par
naam kis kā kabhī liyā sāhab
is mein kya jurm kya KHata sahab
dil to Thahra hi bewafa sahab
phir kisi dusre ka sajda ho
phir naya ho koi KHuda sahab
jo hamein yaad hi nahin the kabhi
kya bhala un ko bhulna sahab
wo bhi meri tarah bhula Dalen
kya kahen kuchh kabhi hua sahab
dil taDapta nahin hai un ke liye
kar chuke sab dawa dua sahab
hai ye mashhur apne bare mein
wo kisi ka na ho saka sahab
hum pe tohmat ki kar diya badnam
is qadar jhuT intiha sahab
zikr aksar kiya hai ishq ka par
nam kis ka kabhi liya sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.