is na-murad dil ki tamanna bhi hae hae
is nā-murād dil kī tamanna bhī haa.e haa.e
khātā hai choT kartā hai shikva bhī haa.e haa.e
taskīn tere zikr se hotī to hai magar
chubhtā hai dil meñ hijr kā kāñTā bhī haa.e haa.e
maiñ dil kī tīrgī se karūñ jang har ghaḌī
duniyā meñ har taraf hai ujālā bhī haa.e haa.e
yādoñ kā terī dil meñ parinda muqīm hai
chhoḌe kabhī na mujh ko akelā bhī haa.e haa.e
barsoñ kisī nazar kā maiñ kartā rahā tavāf
lekin rakhā gayā mujhe pyāsā bhī haa.e haa.e
barbādiyoñ kā merī tamāshā ye dekhtā
ġhairoñ ke saath merā vo apnā bhī haa.e haa.e
jannat ko log bhuul ga.e jis ko dekh kar
kitnī ajab jagah hai ye duniyā bhī haa.e haa.e
tū hī akelā dard kā maarā nahīñ hai 'sād'
kartā nahīñ magar koī itnā bhī haa.e haa.e
is na-murad dil ki tamanna bhi hae hae
khata hai choT karta hai shikwa bhi hae hae
taskin tere zikr se hoti to hai magar
chubhta hai dil mein hijr ka kanTa bhi hae hae
main dil ki tirgi se karun jang har ghaDi
duniya mein har taraf hai ujala bhi hae hae
yaadon ka teri dil mein parinda muqim hai
chhoDe kabhi na mujh ko akela bhi hae hae
barson kisi nazar ka main karta raha tawaf
lekin rakha gaya mujhe pyasa bhi hae hae
barbaadiyon ka meri tamasha ye dekhta
ghairon ke sath mera wo apna bhi hae hae
jannat ko log bhul gae jis ko dekh kar
kitni ajab jagah hai ye duniya bhi hae hae
tu hi akela dard ka mara nahin hai 'sad'
karta nahin magar koi itna bhi hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.