is nabi ke na us nabi ke hain
is nabī ke na us nabī ke haiñ
jo hamārā hai ham usī ke haiñ
tum ho kis daur ke ye tum jaano
ham to ikkīsvīñ sadī ke haiñ
ye siyāsat kā hai asar varna
sab hamāre haiñ ham sabhī ke haiñ
koī duniyā meñ ham ko kuchh bhī kahe
ham usī ke the aur usī ke haiñ
jin meñ kuchh hai nahīñ kaheñge hī
sab kamālāt bandagī ke haiñ
ye 'arab aur ajam kī baat nahīñ
ye savālāt aadmī ke haiñ
ham jo uube hue haiñ duniyā se
ham talabgār āgahī ke haiñ
is nabi ke na us nabi ke hain
jo hamara hai hum usi ke hain
tum ho kis daur ke ye tum jaano
hum to ikkiswin sadi ke hain
ye siyasat ka hai asar warna
sab hamare hain hum sabhi ke hain
koi duniya mein hum ko kuchh bhi kahe
hum usi ke the aur usi ke hain
jin mein kuchh hai nahin kahenge hi
sab kamalat bandagi ke hain
ye 'arab aur ajam ki baat nahin
ye sawalat aadmi ke hain
hum jo ube hue hain duniya se
hum talabgar aagahi ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.