is nae gham se kinara bhi to ho sakta hai
is na.e ġham se kināra bhī to ho saktā hai
ishq phir ham ko dobāra bhī to ho saktā hai
aap andāza lagāte raheñ bas jugnū kā
mirī muTThī meñ sitāra bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki ye jaan luTā dī jaa.e
us kī yādoñ pe guzārā bhī to ho saktā hai
dil kī bastī se sar-e-shām jo uTThā hai dhuāñ
achchhe mausam kā ishāra bhī to ho saktā hai
aap ko ham se mohabbat bhī to ho saktī hai
aur mohabbat meñ ḳhasāra bhī to saktā hai
ye jo phailā hai falak tak shab-e-hijrāñ kā ġhubār
mirī vahshat kā nazāra bhī to ho saktā hai
is nae gham se kinara bhi to ho sakta hai
ishq phir hum ko dobara bhi to ho sakta hai
aap andaza lagate rahen bas jugnu ka
meri muTThi mein sitara bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki ye jaan luTa di jae
us ki yaadon pe guzara bhi to ho sakta hai
dil ki basti se sar-e-sham jo uTTha hai dhuan
achchhe mausam ka ishaara bhi to ho sakta hai
aap ko hum se mohabbat bhi to ho sakti hai
aur mohabbat mein KHasara bhi to sakta hai
ye jo phaila hai falak tak shab-e-hijran ka ghubar
meri wahshat ka nazara bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.