us pareshan zulf se jab samna ho jaega
us pareshāñ zulf se jab sāmnā ho jā.egā
pech-e-bād-e-sub.h ik dam meñ havā ho jā.egā
us galī meñ muntashir kar de hamārī ḳhaak ko
kuchh to arz-e-mudda.ā bād-e-sabā ho jā.egā
bas jigar ko lutf-e-yak-tīr-e-mizha darkār hai
kār-e-ġham-ḳhvārī nigāh-e-āshnā ho jā.egā
vasl meñ band-e-qabā ko minnat-e-angusht kyā
garmī-e-anfās kī ik rau se vā ho jā.egā
sūrat-e-gul vo lab-e-la.alīñ dam-e-guftār hai
dekhnā ḳhāmosh ho to ġhuncha sā ho jā.egā
us pareshan zulf se jab samna ho jaega
pech-e-baad-e-subh ek dam mein hawa ho jaega
us gali mein muntashir kar de hamari KHak ko
kuchh to arz-e-muddaa baad-e-saba ho jaega
bas jigar ko lutf-e-yak-tir-e-mizha darkar hai
kar-e-gham-KHwari nigah-e-ashna ho jaega
wasl mein band-e-qaba ko minnat-e-angusht kya
garmi-e-anfas ki ek rau se wa ho jaega
surat-e-gul wo lab-e-lalin dam-e-guftar hai
dekhna KHamosh ho to ghuncha sa ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.