is pari ne tumhein baalon mein sajaya phulo
is parī ne tumheñ bāloñ meñ sajāyā phūlo
phūlne vaalo ravā hai tumheñ jitnā phūlo
duur kyoñ jaate ho āñkhoñ se hasīñ chehro tum
titliyāñ to haiñ tumheñ dekh ke zinda phūlo
ḳhāk-e-ġhurbat pe tamannā.eñ nahīñ ug saktīñ
dil hai vīrān to vīrān rahegā phūlo
vāpas auqāt meñ aanā ho to dam ghuTne lage
ik ḳhushī milne kā matlab thā ki itnā phūlo
ab ke sajne lagīñ zulfoñ ke bajā.e qabreñ
aisī rut meñ na kisī shāḳh pe khilnā phūlo
har koī dekh ke maalī ko duā dene lage
ai mire dosto aisā phalo aisā phūlo
sharm se surḳh hue jaate ho us ke aage
maiñ na kahtā thā nazākat vo hai dekhā phūlo
us sitamgar ke masalne se shanāsā nahīñ tum
mat kisī bhuul meñ rahnā na mahaknā phūlo
is pari ne tumhein baalon mein sajaya phulo
phulne walo rawa hai tumhein jitna phulo
dur kyon jate ho aankhon se hasin chehro tum
titliyan to hain tumhein dekh ke zinda phulo
KHak-e-ghurbat pe tamannaen nahin ug saktin
dil hai viran to viran rahega phulo
wapas auqat mein aana ho to dam ghuTne lage
ek KHushi milne ka matlab tha ki itna phulo
ab ke sajne lagin zulfon ke bajae qabren
aisi rut mein na kisi shaKH pe khilna phulo
har koi dekh ke mali ko dua dene lage
ai mere dosto aisa phalo aisa phulo
sharm se surKH hue jate ho us ke aage
main na kahta tha nazakat wo hai dekha phulo
us sitamgar ke masalne se shanasa nahin tum
mat kisi bhul mein rahna na mahakna phulo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.