is pe dhabba na laga nam ko ruswai ka
is pe dhabba na lagā naam ko rusvā.ī kā
aaj tak paak hai dāman mirī bīnā.ī kā
yaad hai kis ko sabab us kī shanāsā.ī kā
vo bhī ik hogā karishma isī bīnā.ī kā
garmī-e-zauq-e-nazāra se nahīñ ashk ravāñ
asl meñ hai ye pasīna mirī bīnā.ī kā
Thokaroñ se mirī nazroñ ko ilāhī tū bachā
ab qadam baḌhne lagā hai mirī bīnā.ī kā
hoñge tai baa'd taqarrub ke marāhil saare
dekh lenā hī baḌā kaam hai bīnā.ī kā
is meñ har vaqt bharī rahtī hai nazroñ kī sharāb
aañkh paimāna hai mai-ḳhāna-e-bīnā.ī kā
aa ga.ī chashm-e-karam hazrat-e-zīrak kī jo yaad
'qadr' ne qaid kiyā qāfiya bīnā.ī kā
is pe dhabba na laga nam ko ruswai ka
aaj tak pak hai daman meri binai ka
yaad hai kis ko sabab us ki shanasai ka
wo bhi ek hoga karishma isi binai ka
garmi-e-zauq-e-nazara se nahin ashk rawan
asl mein hai ye pasina meri binai ka
Thokaron se meri nazron ko ilahi tu bacha
ab qadam baDhne laga hai meri binai ka
honge tai ba'd taqarrub ke marahil sare
dekh lena hi baDa kaam hai binai ka
is mein har waqt bhari rahti hai nazron ki sharab
aankh paimana hai mai-KHana-e-binai ka
aa gai chashm-e-karam hazrat-e-zirak ki jo yaad
'qadr' ne qaid kiya qafiya binai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.