is qadar bhi dil nahin TuTa hua
is qadar bhī dil nahīñ TuuTā huā
kuchh simaT saktā na ho bikhrā huā
kab talak ḳhud ko yahī kahtā rahūñ
dil pe mat le jo huā achchhā huā
kaun se manzar pe Thahre aañkh bhī
sab nazar aatā hai bas dekhā huā
ham yaqīñ kar ke use paḌhte rahe
jo bhī thā harf-e-gumāñ likkhā huā
sab marāsim rakh gayā dahlīz par
dil giraftār-e-anā hotā huā
jaane kis ġham ko rihā.ī de rahe
aañkh meñ jo ashk hai aayā huā
vaqt kitne zor se hañsne lagā
ishq jab shartoñ pe āmāda huā
haa.e tark-e-ishq par us kā ye tanz
der hī se haañ magar achchhā huā
ab use ye bhī nahīñ hai yaad tak
hai vo kis kis ko kahāñ bhūlā huā
vo jise kuchh bhī na hotā thā use
baad tere pūchh mat kyā kyā huā
chal 'amar' us shaḳhs ko jā kar mileñ
vo nahīñ miltā agar to kyā huā
is qadar bhi dil nahin TuTa hua
kuchh simaT sakta na ho bikhra hua
kab talak KHud ko yahi kahta rahun
dil pe mat le jo hua achchha hua
kaun se manzar pe Thahre aankh bhi
sab nazar aata hai bas dekha hua
hum yaqin kar ke use paDhte rahe
jo bhi tha harf-e-guman likkha hua
sab marasim rakh gaya dahliz par
dil giraftar-e-ana hota hua
jaane kis gham ko rihai de rahe
aankh mein jo ashk hai aaya hua
waqt kitne zor se hansne laga
ishq jab sharton pe aamada hua
hae tark-e-ishq par us ka ye tanz
der hi se han magar achchha hua
ab use ye bhi nahin hai yaad tak
hai wo kis kis ko kahan bhula hua
wo jise kuchh bhi na hota tha use
baad tere puchh mat kya kya hua
chal 'amar' us shaKHs ko ja kar milen
wo nahin milta agar to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.