is qadar bhi dukhi nahin the hum
is qadar bhī dukhī nahīñ the ham
jaise ab haiñ kabhī nahīñ the ham
dūsrā us ko mil gayā koī
āḳhirī aadmī nahīñ the ham
har zarūrat kī ek qīmat thī
aur itne dhanī nahīñ the ham
kaise chāhat kisī ko de dete
yaar itne saḳhī nahīñ the ham
kaise dāman bachāte duniyā se
aadmī muttaqī nahīñ the ham
jo tasavvur thā us ke ḳhvāboñ meñ
hū-ba-hū kyā vahī nahīñ the ham
ab to 'mashkūr' aisā lagtā hai
tere dil meñ kabhī nahīñ the ham
is qadar bhi dukhi nahin the hum
jaise ab hain kabhi nahin the hum
dusra us ko mil gaya koi
aaKHiri aadmi nahin the hum
har zarurat ki ek qimat thi
aur itne dhani nahin the hum
kaise chahat kisi ko de dete
yar itne saKHi nahin the hum
kaise daman bachate duniya se
aadmi muttaqi nahin the hum
jo tasawwur tha us ke KHwabon mein
hu-ba-hu kya wahi nahin the hum
ab to 'mashkur' aisa lagta hai
tere dil mein kabhi nahin the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.