is qadar Dar gae kuchh shorish-e-ayyam se log
is qadar Dar ga.e kuchh shorish-e-ayyām se log
ab to bas ghar se nikalte haiñ kisī kaam se log
ik zamāna thā ki ḳhush-bāsh nazar aate the
har taraf jāda-e-dīroz pe ḳhush-gām se log
shāmil-e-qāl thā ik harf-e-tashakkur din raat
mushkiloñ meñ bhī guzar karte the ārām se log
har taraf sikka-e-iḳhlās-o-vafā raa.ij thā
sab ko milte the barābar ka.ī in'ām se log
shāmil-e-hāl bahar-hāl rahā karte the
mil ke laḌte the kabhī gardish-e-ayyām se log
sach kahā karte the ḳhā.if na the ā.īnoñ se
kam Darā karte the andesha-e-anjām se log
ik tabassum pe huā karte the saude dil ke
dast-e-ulfat pe bikā karte the be-dām se log
aañkh meñ sharm thī aur dil meñ hayā hotī thī
ḳhud-numā.ī se bahut duur the zar-fām se log
milne vāloñ se tire ham ne bhī mil kar dekhā
bas vahī 'aam sī bāteñ haiñ vahī 'aam se log
jaane kyoñ tum ko 'azīz is qadar āḳhir haiñ 'zahīr'
TuuTe phūTe se ye majbūr se nākām se log
is qadar Dar gae kuchh shorish-e-ayyam se log
ab to bas ghar se nikalte hain kisi kaam se log
ek zamana tha ki KHush-bash nazar aate the
har taraf jada-e-diroz pe KHush-gam se log
shamil-e-qal tha ek harf-e-tashakkur din raat
mushkilon mein bhi guzar karte the aaram se log
har taraf sikka-e-iKHlas-o-wafa raij tha
sab ko milte the barabar kai in'am se log
shamil-e-haal bahar-haal raha karte the
mil ke laDte the kabhi gardish-e-ayyam se log
sach kaha karte the KHaif na the aainon se
kam Dara karte the andesha-e-anjam se log
ek tabassum pe hua karte the saude dil ke
dast-e-ulfat pe bika karte the be-dam se log
aankh mein sharm thi aur dil mein haya hoti thi
KHud-numai se bahut dur the zar-fam se log
milne walon se tere hum ne bhi mil kar dekha
bas wahi 'am si baaten hain wahi 'am se log
jaane kyon tum ko 'aziz is qadar aaKHir hain 'zahir'
TuTe phuTe se ye majbur se nakaam se log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.