Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar gham mera bebak nahin ho sakta

Shafeeq Barelvi

is qadar gham mera bebak nahin ho sakta

Shafeeq Barelvi

is qadar ġham mirā bebāk nahīñ ho saktā

dāman-e-husn kabhī chaak nahīñ ho saktā

mai talḳhī bhī musallam tirā kahnā bhī durust

nāsehā be-piye idrāk nahīñ ho saktā

tā-abad ziist rahegī yūñhī barbād-e-ḳhirad

gar junūñ sāhib-e-idrāk nahīñ ho saktā

kam se kam zulm bhī mahrūm-e-masarrat to rahe

dīda-e-ġham mirā namnāk nahīñ ho saktā

mirā pindār-e-nazar aap ke jalvoñ ġhurūr

hai vo jhagḌā jo kabhī paak nahīñ ho saktā

aap is dil adā se abhī vāqif nahīñ

jal to jaatā hai magar ḳhaak nahīñ ho saktā

un ke mamnūn-e-sitam apnī vafāoñ se gila

kaun ġham tah-e-aflāk nahīñ ho saktā

kah Daalā nigah-e-nāz sab raaz 'shafīq'

aap bhī koī bebāk nahīñ ho saktā

is qadar gham mera bebak nahin ho sakta

daman-e-husn kabhi chaak nahin ho sakta

mai ki talKHi bhi musallam tera kahna bhi durust

naseha be-piye idrak nahin ho sakta

ta-abad zist rahegi yunhi barbaad-e-KHirad

gar junun sahib-e-idrak nahin ho sakta

kam se kam zulm bhi mahrum-e-masarrat to rahe

dida-e-gham mera namnak nahin ho sakta

mera pindar-e-nazar aap ke jalwon ka ghurur

hai wo jhagDa jo kabhi pak nahin ho sakta

aap is dil ki ada se abhi waqif hi nahin

jal to jata hai magar KHak nahin ho sakta

un ke mamnun-e-sitam apni wafaon se gila

kaun sa gham tah-e-aflak nahin ho sakta

kah hi Dala nigah-e-naz ka sab raaz 'shafiq'

aap sa bhi koi bebak nahin ho sakta

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now