is qadar hijr ke dhagon se nikal aaya tha
is qadar hijr ke dhāgoñ se nikal aaya thā
maiñ tirī yaad ke reshoñ se nikal aaya thā
Tiis uTThī thī kahīñ zer-e-zamīñ aur idhar
shahr kā shahr makānoñ se nikal aaya thā
raat ḳhāmoshī mire jism meñ yuuñ phailī thī
lams kā shor bhī kānoñ se nikal aaya thā
maiñ ne pheñkā thā use taish maiñ aa kar lekin
ashk tasvīr kī āñkhoñ se nikal aaya thā
maiñ ne ik peḌ ke saa.e meñ duā māñgī thī
aur parinda mirī poroñ se nikal aaya thā
us ne āvāz kī taḳhtī pe mirā naam likhā
aur maiñ lafz ke hoñToñ se nikal aaya thā
maiñ ne qirtās pe rakkhī thī faqat aañkh 'munīr'
ḳhvāb tahrīr kī darzoñ se nikal aaya thā
is qadar hijr ke dhagon se nikal aaya tha
main teri yaad ke reshon se nikal aaya tha
Tis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar
shahr ka shahr makanon se nikal aaya tha
raat KHamoshi mere jism mein yun phaili thi
lams ka shor bhi kanon se nikal aaya tha
main ne phenka tha use taish main aa kar lekin
ashk taswir ki aankhon se nikal aaya tha
main ne ek peD ke sae mein dua mangi thi
aur parinda meri poron se nikal aaya tha
us ne aawaz ki taKHti pe mera nam likha
aur main lafz ke honTon se nikal aaya tha
main ne qirtas pe rakkhi thi faqat aankh 'munir'
KHwab tahrir ki darzon se nikal aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.