is qadar jazbaat mein hum bah gae
is qadar jazbāt meñ ham bah ga.e
jo na kahnā thā zabāñ se kah ga.e
zindagī bār-e-girāñ thī dosh par
un kī yādoñ ke sahāre sah ga.e
dushmanoñ ne ġham-gusārī kī vahāñ
dost jin rāhoñ meñ pīchhe rah ga.e
zindagī par maut kā ehsān hai
hādse sab haath malte rah ga.e
kaun kar saktā hai lahroñ kā shumār
silsile yādoñ ke 'naġhmī' kah ga.e
is qadar jazbaat mein hum bah gae
jo na kahna tha zaban se kah gae
zindagi bar-e-giran thi dosh par
un ki yaadon ke sahaare sah gae
dushmanon ne gham-gusari ki wahan
dost jin rahon mein pichhe rah gae
zindagi par maut ka ehsan hai
hadse sab hath malte rah gae
kaun kar sakta hai lahron ka shumar
silsile yaadon ke 'naghmi' kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.