is qadar KHud pe hum jafa na karen
is qadar ḳhud pe ham jafā na kareñ
jism ko jaan se judā na kareñ
ashk az chashm-e-man judā nashivad
aap aisī kabhī duā na kareñ
aao ahd-e-vafā kareñ donoñ
aur ahd-e-vafā vafā na kareñ
phuul ban kar mahakne lagte haiñ
aap zaḳhmoñ ko yuuñ chhuā na kareñ
duur maanā zamīn hai us se
āsmāñ se magar kahā na kareñ
aur bhī kuchh mazīd dahkegī
aag ko yuuñ havā diyā na kareñ
kaise bhūleñge mujh ko un se kaho
zikr itnā mirā kiyā na kareñ
ham bhī insān haiñ farishte nahīñ
ye to mumkin nahīñ ḳhatā na kareñ
is qadar KHud pe hum jafa na karen
jism ko jaan se juda na karen
ashk az chashm-e-man juda nashiwad
aap aisi kabhi dua na karen
aao ahd-e-wafa karen donon
aur ahd-e-wafa wafa na karen
phul ban kar mahakne lagte hain
aap zaKHmon ko yun chhua na karen
dur mana zamin hai us se
aasman se magar kaha na karen
aur bhi kuchh mazid dahkegi
aag ko yun hawa diya na karen
kaise bhulenge mujh ko un se kaho
zikr itna mera kiya na karen
hum bhi insan hain farishte nahin
ye to mumkin nahin KHata na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.