is qadar logon ki kami hai mujhe
is qadar logoñ kī kamī hai mujhe
ek dīvār sun rahī hai mujhe
us ko sochūñ to aañkh lag na sake
baat dil pe jo aa lagī hai mujhe
ḳhvāb nīñdeñ uḌā ga.e haiñ aur
niiñd ḳhvāboñ meñ aa rahī hai mujhe
itnā qaa.il huuñ maiñ añdhere kā
ek jugnū bhī raushnī hai mujhe
itnā bīmār ḳhud ko kar liyā hai
saañs lenā hī zindagī hai mujhe
jiine vaalī to jī chukā kab kā
jo bachī hai vo kāTnī hai mujhe
is qadar logon ki kami hai mujhe
ek diwar sun rahi hai mujhe
us ko sochun to aankh lag na sake
baat dil pe jo aa lagi hai mujhe
KHwab ninden uDa gae hain aur
nind KHwabon mein aa rahi hai mujhe
itna qail hun main andhere ka
ek jugnu bhi raushni hai mujhe
itna bimar KHud ko kar liya hai
sans lena hi zindagi hai mujhe
jine wali to ji chuka kab ka
jo bachi hai wo kaTni hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.