is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum
is qadar mahv haiñ kār-e-chaman-ārā.ī meñ ham
dil kī dhaḌkan bhī nahīñ sunte haiñ tanhā.ī meñ ham
DhūñDte phirte haiñ ab apne ta.alluq kā sabab
duur tak bikhre hue rāh-e-shanāsā.ī meñ ham
shaam kī dhund meñ karte haiñ tasavvur us kā
aur phir sarf bhī hote haiñ pazīrā.ī meñ ham
dil kī tanhā.ī se ghabrā ke nikal aate haiñ
varna rahte haiñ isī dasht kī pahnā.ī meñ ham
sher ke motī uThā laa.e haiñ tah se 'āmir'
duur tak utre the is bahr kī gahrā.ī meñ ham
is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum
dil ki dhaDkan bhi nahin sunte hain tanhai mein hum
DhunDte phirte hain ab apne talluq ka sabab
dur tak bikhre hue rah-e-shanasai mein hum
sham ki dhund mein karte hain tasawwur us ka
aur phir sarf bhi hote hain pazirai mein hum
dil ki tanhai se ghabra ke nikal aate hain
warna rahte hain isi dasht ki pahnai mein hum
sher ke moti uTha lae hain tah se 'amir'
dur tak utre the is bahr ki gahrai mein hum
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 32)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.