is qadar mushtaq parwana hua tha subh ka
is qadar mushtāq parvāna huā thā sub.h kā
sham' kī lau se fasāna sun rahā thā sub.h kā
raat kī āġhosh meñ haiñ dafn mere ratjage
terī har āvāz pe dhokā huā thā sub.h kā
shaam meñ kyā muzda-e-jāñ-baḳhsh thā ki rāt-bhar
bachcha bachcha intizārī lag rahā thā sub.h kā
band palkoñ par koī ḳhvāb-e-jaras aane ko thā
aur chhat pe qāfila Thahrā huā thā sub.h kā
raushan āñkheñ bujh ga.ī thiiñ raat ke jis moḌ par
us se aage duur tak ik silsila thā sub.h kā
is qadar mushtaq parwana hua tha subh ka
sham' ki lau se fasana sun raha tha subh ka
raat ki aaghosh mein hain dafn mere ratjage
teri har aawaz pe dhoka hua tha subh ka
sham mein kya muzda-e-jaan-baKHsh tha ki raat-bhar
bachcha bachcha intizari lag raha tha subh ka
band palkon par koi KHwab-e-jaras aane ko tha
aur chhat pe qafila Thahra hua tha subh ka
raushan aankhen bujh gai thin raat ke jis moD par
us se aage dur tak ek silsila tha subh ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.