is qadar TuT kar mila hai koi
is qadar TuuT kar milā hai koī
jaise mujh se bichhaḌ rahā hai koī
mere āñgan meñ kaisī ḳhushbū hai
jaise uTh kar abhī gayā hai koī
aaj bhī chāhatoñ kī āñkhoñ se
qatra qatra Tapak rahā hai koī
jism bedār ho rahā hai mirā
merī bāñhoñ meñ so rahā hai koī
saañs sāhil ko chhūte rahte haiñ
mere siine meñ Dūbtā hai koī
is qadar TuT kar mila hai koi
jaise mujh se bichhaD raha hai koi
mere aangan mein kaisi KHushbu hai
jaise uTh kar abhi gaya hai koi
aaj bhi chahaton ki aankhon se
qatra qatra Tapak raha hai koi
jism bedar ho raha hai mera
meri banhon mein so raha hai koi
sans sahil ko chhute rahte hain
mere sine mein Dubta hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.