is rah-e-talab mein main ai dil jata hun kahan malum nahin
is rah-e-talab mein main ai dil jata hun kahan malum nahin
Surayya Sultana Naseem Niyazi
MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi
is rāh-e-talab meñ maiñ ai dil jaatā huuñ kahāñ ma.alūm nahīñ
apnā bhī pata ma.alūm nahīñ manzil kā nishāñ ma.alūm nahīñ
ham laakh chhupā.eñge ai dil is jazb-e-mohabbat ko lekin
ai josh-e-junūñ phir aatī hai kyoñ lab pe fuġhāñ ma.alūm nahīñ
bāteñ kuchh un se aisī huiiñ ham aql-o-ḳhirad sab kho baiThe
qissa ko bayāñ karne ke liye andāz-e-bayāñ ma.alūm nahīñ
samjhā thā bahāreñ hī hoñgī gulshan meñ hamesha chāroñ taraf
shāyad ki tujhe barq-e-larzāñ andāz-e-ḳhizāñ ma.alūm nahīñ
allāh re shauq-e-gul-bosī itnā bhī nahīñ hai mujh ko pata
kāñToñ meñ ulajh kar bhī ḳhush hai kyoñ merī zabāñ ma.alūm nahīñ
har baar bhulā.ūñ maiñ lekin ai rū-e-hasīñ zulf-e-mushkīñ
jaatā hai dil-e-pur-shauq-talab kyoñ sū-e-butāñ ma.alūm nahīñ
aahoñ se use taskīn nahīñ ashkoñ se 'nasīm' ab chain nahīñ
kyā chiiz bhalā phir chāhtā hai ye qalb-e-tapāñ ma.alūm nahīñ
is rah-e-talab mein main ai dil jata hun kahan malum nahin
apna bhi pata malum nahin manzil ka nishan malum nahin
hum lakh chhupaenge ai dil is jazb-e-mohabbat ko lekin
ai josh-e-junun phir aati hai kyon lab pe fughan malum nahin
baaten kuchh un se aisi huin hum aql-o-KHirad sab kho baiThe
qissa ko bayan karne ke liye andaz-e-bayan malum nahin
samjha tha bahaaren hi hongi gulshan mein hamesha chaaron taraf
shayad ki tujhe barq-e-larzan andaz-e-KHizan malum nahin
allah re shauq-e-gul-bosi itna bhi nahin hai mujh ko pata
kanTon mein ulajh kar bhi KHush hai kyon meri zaban malum nahin
har bar bhulaun main lekin ai ru-e-hasin zulf-e-mushkin
jata hai dil-e-pur-shauq-talab kyon su-e-butan malum nahin
aahon se use taskin nahin ashkon se 'nasim' ab chain nahin
kya chiz bhala phir chahta hai ye qalb-e-tapan malum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.