is rang mein apne dil-e-nadan se gila hai
is rañg meñ apne dil-e-nādāñ se gila hai
jaise hameñ kul ālam-e-imkāñ se gila hai
kis aañkh ne samjhā mirī be-bāl-o-parī se
jo kuchh mujhe dīvār-e-gulistāñ se gila hai
aa ḳhanjar-e-dildār mire dil ko sunā de
shāyad tujhe kuchh merī rag-e-jāñ se gila hai
chhoḌā hai kahāñ saath mire dast-e-junūñ kā
kam-mā.egī-e-dāman-e-imkāñ se gila hai
kahte haiñ bas utnī hī tirī tāb-e-yaqīñ thī
hai kufr se shikva mire īmāñ se gila hai
ik lafz-e-tasallī mire hisse meñ na aayā
ai zauq-e-samā.at lab-e-jānāñ se gila hai
mil jaatī hai jaañ qarz magar mai nahīñ miltī
begāñgī-e-bāda-faroshāñ se gila hai
īmān kā pindār liye phirtā huuñ har suu!
ye bhī usī ġhārat-gar-e-īmāñ se gila hai
kaise dil-e-tanhā ne banā.e haiñ muḳhātab
dīvāroñ se shikva dar-e-zindāñ se gila hai
kahte haiñ 'sabā' chāñdnī gulshan kī na dekhe
us shaḳhs ko arbāb-e-gulistāñ se gila hai
is rang mein apne dil-e-nadan se gila hai
jaise hamein kul aalam-e-imkan se gila hai
kis aankh ne samjha meri be-baal-o-pari se
jo kuchh mujhe diwar-e-gulistan se gila hai
aa KHanjar-e-dildar mere dil ko suna de
shayad tujhe kuchh meri rag-e-jaan se gila hai
chhoDa hai kahan sath mere dast-e-junun ka
kam-maegi-e-daman-e-imkan se gila hai
kahte hain bas utni hi teri tab-e-yaqin thi
hai kufr se shikwa mere iman se gila hai
ek lafz-e-tasalli mere hisse mein na aaya
ai zauq-e-samaat lab-e-jaanan se gila hai
mil jati hai jaan qarz magar mai nahin milti
begangi-e-baada-faroshan se gila hai
iman ka pindar liye phirta hun har su!
ye bhi usi ghaarat-gar-e-iman se gila hai
kaise dil-e-tanha ne banae hain muKHatab
diwaron se shikwa dar-e-zindan se gila hai
kahte hain 'saba' chandni gulshan ki na dekhe
us shaKHs ko arbab-e-gulistan se gila hai
- Book : Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 52)
- Author : Saba Akbarabadi
- Publication : Educational Publishing House (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.