is riyazat ka meri jaan sila kuchh bhi nahin
is riyāzat kā mirī jaan sila kuchh bhī nahīñ
ishq kā khel sharāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
zabt ke kaun-se ziine pe maiñ aa pahuñchī huuñ
haath uTThe haiñ magar harf-e-duā kuchh bhī nahīñ
ab to ḳhurshed ba-kaf ham ko ubharnā hogā
in añdheroñ meñ faqat ek diyā kuchh bhī nahīñ
aise lagtā thā ki duniyā hī ujaḌ jā.egī
ḳhauf thā chāroñ taraf aur huā kuchh bhī nahīñ
ḳhāmushī ḳhud hai takallum kā vasīla 'sayyad'
dasht-e-hairat hai yahāñ saut-o-sadā kuchh bhī nahīñ
is riyazat ka meri jaan sila kuchh bhi nahin
ishq ka khel shararon ke siwa kuchh bhi nahin
zabt ke kaun-se zine pe main aa pahunchi hun
hath uTThe hain magar harf-e-dua kuchh bhi nahin
ab to KHurshed ba-kaf hum ko ubharna hoga
in andheron mein faqat ek diya kuchh bhi nahin
aise lagta tha ki duniya hi ujaD jaegi
KHauf tha chaaron taraf aur hua kuchh bhi nahin
KHamushi KHud hai takallum ka wasila 'sayyad'
dasht-e-hairat hai yahan saut-o-sada kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.