is saya-dar peD ko jaD se ukhaD ke
is sāya-dār peḌ ko jaḌ se ukhāḌ ke
kyā mil gayā tujhe mirī duniyā ujaaḌ ke
ab aur intizār kar ai khokhle badan
maiñ aa rahā huuñ madd-e-muqābil pachhāḌ ke
tanhā mujhe basīt ḳhalā meñ uḌā diyā
ham-zād ne bayāz-e-tasalsul se phaaḌ ke
kyuuñ chāñd kī taraf haiñ ravāñ kam-nigāh log
dil kī ridā se azmat-e-pastī ko jhaaḌ ke
is ḳhud-numā kī rif.at-e-buniyād dekhiye
paañv zamīn-bos haiñ ūñche pahāḌ ke
shohrat kī aag asl meñ ik naqsh-e-dūd thī
bujh kar bikhar ga.ī tirā huliya bigāḌ ke
is saya-dar peD ko jaD se ukhaD ke
kya mil gaya tujhe meri duniya ujaD ke
ab aur intizar kar ai khokhle badan
main aa raha hun madd-e-muqabil pachhaD ke
tanha mujhe basit KHala mein uDa diya
ham-zad ne bayaz-e-tasalsul se phaD ke
kyun chand ki taraf hain rawan kam-nigah log
dil ki rida se azmat-e-pasti ko jhaD ke
is KHud-numa ki rifat-e-buniyaad dekhiye
panw zamin-bos hain unche pahaD ke
shohrat ki aag asl mein ek naqsh-e-dud thi
bujh kar bikhar gai tera huliya bigaD ke
- Book : auraq-salnama-magazines (Pg. 506)
- Author : maratib akhtar
- Publication : Monthly Auraq, Urdu Bazar, Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.