is safar ka chehra chehra aaina wala laga
is safar kā chehra chehra aa.ina vaalā lagā
chal paḌā to mujh ko saarā rāsta dekhā lagā
in badalte manzaroñ meñ ham to Thahre be-vaqār
aap hī kah deñ ye mausam aap ko kaisā lagā
TūTte rishtoñ ke yug meñ aisā bhī lamha milā
apnā ghar to apnā ghar thā saarā ghar apnā lagā
ab ke jab pardes se lauTe to apne des meñ
niim kā bhī zā.iqa ham ko bahut achchhā lagā
kūcha-e-asvad ke bāshinde haiñ ham apnā vajūd
maañ ke āñchal meñ lage paivand kā baḳhiya lagā
Dūbte sūraj ko dekho zindagī apnī lage
sub.h kā niklā musāfir shaam ko ghar jā lagā
is safar ka chehra chehra aaina wala laga
chal paDa to mujh ko sara rasta dekha laga
in badalte manzaron mein hum to Thahre be-waqar
aap hi kah den ye mausam aap ko kaisa laga
TuTte rishton ke yug mein aisa bhi lamha mila
apna ghar to apna ghar tha sara ghar apna laga
ab ke jab pardes se lauTe to apne des mein
nim ka bhi zaiqa hum ko bahut achchha laga
kucha-e-aswad ke bashinde hain hum apna wajud
man ke aanchal mein lage paiwand ka baKHiya laga
Dubte suraj ko dekho zindagi apni lage
subh ka nikla musafir sham ko ghar ja laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.