is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua
is samt to māhaul hai pahle se hī bigḌā huā
ai ātishīñ tūfān terā kyoñ idhar aanā huā
va.ada thā us kā vo na aayā haañ magar aisā huā
ik phuul sāhil par nazar aayā mujhe rakkhā huā
kis ne qadam rakkhe yahāñ kis kā idhar pherā huā
ḳhushbū se kis ke jism kī ghar hai mirā mahkā huā
ik abr ke TukḌe ne mere sar pe khīñchā sā.ebāñ
jab dhuup ke saffāk sahrā se guzar merā huā
kāñToñ kī sūrat phuul bhī piite haiñ is jānib lahū
koī nahīñ hai saath mere ye bahut achchhā huā
ḳhālī paḌā hai ik zamāne se ye ghar lekin mujhe
mahsūs hotā hai darīche meñ koī baiThā huā
paanī kā ik qatra na thā maujeñ na thiiñ sāhil na thā
dekhā hai maiñ ne dasht meñ dariyā ajab bahtā huā
kal mere kamre meñ koī thā aur bhī mere sivā
maiñ ne jo pūchhā kaun hai pur-shor sannāTā huā
ye dekhtā maiñ aa rahā huuñ ek muddat se 'mujīb'
āvāz jab maiñ ne lagā.ī band darvāza huā
is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua
ai aatishin tufan tera kyon idhar aana hua
wada tha us ka wo na aaya han magar aisa hua
ek phul sahil par nazar aaya mujhe rakkha hua
kis ne qadam rakkhe yahan kis ka idhar phera hua
KHushbu se kis ke jism ki ghar hai mera mahka hua
ek abr ke TukDe ne mere sar pe khincha saeban
jab dhup ke saffak sahra se guzar mera hua
kanTon ki surat phul bhi pite hain is jaanib lahu
koi nahin hai sath mere ye bahut achchha hua
KHali paDa hai ek zamane se ye ghar lekin mujhe
mahsus hota hai dariche mein koi baiTha hua
pani ka ek qatra na tha maujen na thin sahil na tha
dekha hai main ne dasht mein dariya ajab bahta hua
kal mere kamre mein koi tha aur bhi mere siwa
main ne jo puchha kaun hai pur-shor sannaTa hua
ye dekhta main aa raha hun ek muddat se 'mujib'
aawaz jab main ne lagai band darwaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.