is se aage jo bacha kirdar wo lachaar hai
is se aage jo bachā kirdār vo lāchār hai
ḳhatm hai jis par kahānī ye vahī dīvār hai
vaqt par bas is liye letā nahīñ huuñ maiñ davā
pūchh le vo kis se kaisā ab mirā bīmār hai
bhuuk ġhurbat sar chhupāne ko jahāñ par ghar nahīñ
log aise kis se boleñ zindagī dushvār hai
yaar bichhḌā hai mirā kuchh roz pahle ġham meñ huuñ
in dinoñ mere liye duniyā baḌī bekār hai
maañ se ro ke kah rahī thī ek laḌkī ranj meñ
maañ mujhe jis se mohabbat hai vahī darkār hai
kah rahī thī dost se 'rāhil' milegā ek din
baap merā is qabīle kā abhī sardār hai
is se aage jo bacha kirdar wo lachaar hai
KHatm hai jis par kahani ye wahi diwar hai
waqt par bas is liye leta nahin hun main dawa
puchh le wo kis se kaisa ab mera bimar hai
bhuk ghurbat sar chhupane ko jahan par ghar nahin
log aise kis se bolen zindagi dushwar hai
yar bichhDa hai mera kuchh roz pahle gham mein hun
in dinon mere liye duniya baDi bekar hai
man se ro ke kah rahi thi ek laDki ranj mein
man mujhe jis se mohabbat hai wahi darkar hai
kah rahi thi dost se 'rahil' milega ek din
bap mera is qabile ka abhi sardar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.