is se gharaz nahin hai kafir ki parsa ho
is se ġharaz nahīñ hai kāfir ki pārsā ho
bas itnī aarzū hai dil marzi-e-ḳhudā ho
har shai se ho numāyāñ husn-e-talab kisī kā
har zarra mere dil kā labbaik kah rahā ho
pur-lutf phir na kyoñ ho yak-rangī-e-mohabbat
jo un kī aarzū ho merī vahī duā ho
phir tiir aah merā lauTā na āsmāñ se
chashm-e-falak kā ai dil taarā na ban gayā ho
shāḳh-e-tamannā merī phūle phale jahāñ meñ
gul-hā-e-ārzū se dāman mirā bharā ho
naġhma rahe na koī jab sāz-e-ārzū meñ
merā dil-e-shikasta kyā ḳhaak ḳhush-navā ho
is se gharaz nahin hai kafir ki parsa ho
bas itni aarzu hai dil marzi-e-KHuda ho
har shai se ho numayan husn-e-talab kisi ka
har zarra mere dil ka labbaik kah raha ho
pur-lutf phir na kyon ho yak-rangi-e-mohabbat
jo un ki aarzu ho meri wahi dua ho
phir tir aah mera lauTa na aasman se
chashm-e-falak ka ai dil tara na ban gaya ho
shaKH-e-tamanna meri phule phale jahan mein
gul-ha-e-arzu se daman mera bhara ho
naghma rahe na koi jab saz-e-arzu mein
mera dil-e-shikasta kya KHak KHush-nawa ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.