is se hi baqi hai sanson ki rawani logo
is se hī baaqī hai sāñsoñ kī ravānī logo
mujh se mat chhīno mirī aañkh kā paanī logo
āgahī karb ke imkān baḌhā detī hai
mat sunāo mujhe ye saarī kahānī logo
pārsā.ī kī gavāhī to na māñgo us se
tanhā beva ne guzārī hai javānī logo
ham bayābānoñ ke 'aadī the kahīñ par na base
dasht-e-tanhā.ī meñ kī naql-e-makānī logo
ham ki saada rahe jiddat meñ na Dhālā ḳhud ko
ham ko aa.e hī nahīñ taur-e-zamānī logo
us kī tasvīr ko chupke se jalāyā maiñ ne
vo thī kam-zarf mohabbat kī nishānī logo
is se hi baqi hai sanson ki rawani logo
mujh se mat chhino meri aankh ka pani logo
aagahi karb ke imkan baDha deti hai
mat sunao mujhe ye sari kahani logo
parsai ki gawahi to na mango us se
tanha bewa ne guzari hai jawani logo
hum bayabanon ke 'adi the kahin par na base
dasht-e-tanhai mein ki naql-e-makani logo
hum ki sada rahe jiddat mein na Dhaala KHud ko
hum ko aae hi nahin taur-e-zamani logo
us ki taswir ko chupke se jalaya main ne
wo thi kam-zarf mohabbat ki nishani logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.