is se kya baDh ke bad-nasibi ho
is se kyā baḌh ke bad-nasībī ho
ek shā.ir jo falsafī bhī ho
ik mohabbat mujhe bhī hai darkār
jo ki pahlī ho āḳhirī bhī ho
ek manzar ho shānt Thahrā huā
jis meñ bahtī huī nadī bhī ho
ik kahānī hai mere baare meñ
tum ne shāyad kahīñ sunī bhī ho
yaad vo shai hai jis ke marne par
dil meñ mātam bhī ho ḳhushī bhī ho
kyā ḳhabar us ke duur jaane kā
ik sabab merī ḳhāmushī bhī ho
is se kya baDh ke bad-nasibi ho
ek shair jo falsafi bhi ho
ek mohabbat mujhe bhi hai darkar
jo ki pahli ho aaKHiri bhi ho
ek manzar ho shant Thahra hua
jis mein bahti hui nadi bhi ho
ek kahani hai mere bare mein
tum ne shayad kahin suni bhi ho
yaad wo shai hai jis ke marne par
dil mein matam bhi ho KHushi bhi ho
kya KHabar us ke dur jaane ka
ek sabab meri KHamushi bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.