is se pahle ki hawa mujhko uDa le jae
is se pahle ki havā mujh ko uḌā le jaa.e
apnī zulfoñ meñ koī aa ke sajā le jaa.e
jis ko is ahd meñ jiine kā hunar aatā ho
us se kah do ki mirī umr lagā le jaa.e
chāñdnī khiḌkī se kamre meñ utar aatī hai
koī tasvīr na album se churā le jaa.e
hausla dev se laḌne kā kisī meñ bhī nahīñ
chāhte sab haiñ parī aa ke jagā le jaa.e
apnī ḳhātir na sahī kuchh to bachā kar rakkho
lūTne koī agar aa.e to kyā le jaa.e
ibn-e-ādam na kaho us ko farishta samjho
ḳhud ko jo dāna-e-gandum se bachā le jaa.e
is se pahle ki hawa mujh ko uDa le jae
apni zulfon mein koi aa ke saja le jae
jis ko is ahd mein jine ka hunar aata ho
us se kah do ki meri umr laga le jae
chandni khiDki se kamre mein utar aati hai
koi taswir na album se chura le jae
hausla dew se laDne ka kisi mein bhi nahin
chahte sab hain pari aa ke jaga le jae
apni KHatir na sahi kuchh to bacha kar rakkho
luTne koi agar aae to kya le jae
ibn-e-adam na kaho us ko farishta samjho
KHud ko jo dana-e-gandum se bacha le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.