is se pahle ki jhulas jaun main jangal ki tarah
is se pahle ki jhulas jā.ūñ maiñ jangal kī tarah
Tuut ke mujh pe baras jā kisī bādal kī tarah
dil kī dīvār ko zālim tirī ummīd-e-vasl
chaak kartī hī chalī jaatī hai pīpal kī tarah
ye mirā ḳhūn-e-jigar hai ise zaa.e' mat kar
aañkh par apnī sajā le ise kājal kī tarah
is se pahle ki zamīñ bojh samajh le ham ko
ham zamīñ oḌh ke so jā.eñge kambal kī tarah
is se pahle ki jhulas jaun main jangal ki tarah
Tut ke mujh pe baras ja kisi baadal ki tarah
dil ki diwar ko zalim teri ummid-e-wasl
chaak karti hi chali jati hai pipal ki tarah
ye mera KHun-e-jigar hai ise zae' mat kar
aankh par apni saja le ise kajal ki tarah
is se pahle ki zamin bojh samajh le hum ko
hum zamin oDh ke so jaenge kambal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.