is se pahle ki kisi ghaT utare jate
is se pahle ki kisī ghaaT utāre jaate
ham hī betāb the ham muft meñ maare jaate
had idrāk se aage thī tire qurb kī shaam
DhūñDne tujh ko kahāñ chāñd-sitāre jaate
tū ne ḳhud apnī mohabbat kā bharam khol diyā
varna ham pās-e-muravvat meñ hī maare jaate
tujh se mansūb hue haiñ to ye hasrat hī rahī
ham kabhī apne havāle se pukāre jaate
saḳht pahra thā tire hāshiya-bardāroñ kā
ham vahāñ kis kī sifārish ke sahāre jaate
tū ne ḳhud halqa-e-amvāj se muñh moḌ liyā
duur tak varna tire saath kināre jaate
mish.aleñ ġham kī farozāñ thiiñ har ik ghar meñ 'salīm'
kis kī dahlīz pe ham dard ke maare jaate
is se pahle ki kisi ghaT utare jate
hum hi betab the hum muft mein mare jate
had idrak se aage thi tere qurb ki sham
DhunDne tujh ko kahan chand-sitare jate
tu ne KHud apni mohabbat ka bharam khol diya
warna hum pas-e-murawwat mein hi mare jate
tujh se mansub hue hain to ye hasrat hi rahi
hum kabhi apne hawale se pukare jate
saKHt pahra tha tere hashiya-bardaron ka
hum wahan kis ki sifarish ke sahaare jate
tu ne KHud halqa-e-amwaj se munh moD liya
dur tak warna tere sath kinare jate
mishalen gham ki farozan thin har ek ghar mein 'salim'
kis ki dahliz pe hum dard ke mare jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.