is se ziyaada kya kahun main ab sifat mein
is se ziyāda kyā kahūñ maiñ ab sifāt meñ
tum sā nahīñ hai koī bhī is kā.enāt meñ
jab se mile ho tum mujhe ḳhud kā na hosh hai
din raat khoyā rahtā huuñ terī hī zaat meñ
badlī nazar tumhārī to duniyā badal ga.ī
sab kuchh badal gayā mirā phir is hayāt meñ
abrū nigāheñ 'aks tire hoñTh chaal sab
shāmil haiñ mere qatl kī ye vārdāt meñ
un ke dil-o-dimāġh pe rahtā hai ḳhauf sā
apne hī jin ke mar ga.e haiñ hādsāt meñ
honā thā jis meñ vasl qayāmat kī raat thī
sab kho gayā vajūd mirā ek raat meñ
is se ziyaada kya kahun main ab sifat mein
tum sa nahin hai koi bhi is kaenat mein
jab se mile ho tum mujhe KHud ka na hosh hai
din raat khoya rahta hun teri hi zat mein
badli nazar tumhaari to duniya badal gai
sab kuchh badal gaya mera phir is hayat mein
abru nigahen 'aks tere honTh chaal sab
shamil hain mere qatl ki ye wardat mein
un ke dil-o-dimagh pe rahta hai KHauf sa
apne hi jin ke mar gae hain hadsat mein
hona tha jis mein wasl qayamat ki raat thi
sab kho gaya wajud mera ek raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.