is shahr-e-be-charagh mein do-chaar hum hi hain
is shahr-e-be-charāġh meñ do-chār ham hī haiñ
rahte haiñ vo jo sūrat-e-anvār ham hī haiñ
kuchh is nazar se log hameñ dekhne lage
jaise ki aaj sub.h kā aḳhbār ham hī haiñ
kal tak tumhārī aañkh ke taare bhī ham hī the
aur aaj un meñ chubhte hue ḳhaar ham hī haiñ
jo nā-ḳhudā-e-vaqt the sāhil se jā lage
maujoñ se ab bhī barsar-e-paikār ham hī haiñ
qurbāniyāñ hamārī koī dekhtā nahīñ
un kī nazar meñ aaj bhī ġhaddār ham hī haiñ
qaa.em hai is se apnī hadoñ kā vaqār aaj
donoñ ke biich shīshe kī dīvār ham hī haiñ
'irfān' ham ko vaqt ne pāmāl kar diyā
tahzīb-e-nau ke dosto me.amār ham hī haiñ
is shahr-e-be-charagh mein do-chaar hum hi hain
rahte hain wo jo surat-e-anwar hum hi hain
kuchh is nazar se log hamein dekhne lage
jaise ki aaj subh ka aKHbar hum hi hain
kal tak tumhaari aankh ke tare bhi hum hi the
aur aaj un mein chubhte hue KHar hum hi hain
jo na-KHuda-e-waqt the sahil se ja lage
maujon se ab bhi barsar-e-paikar hum hi hain
qurbaniyan hamari koi dekhta nahin
un ki nazar mein aaj bhi ghaddar hum hi hain
qaem hai is se apni hadon ka waqar aaj
donon ke bich shishe ki diwar hum hi hain
'irfan' hum ko waqt ne pamal kar diya
tahzib-e-nau ke dosto meamar hum hi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.