is shahr-e-be-KHata mein KHatawar main hi hun
is shahr-e-be-KHata mein KHatawar main hi hun
Professor Mahmood Alam
MORE BYProfessor Mahmood Alam
is shahr-e-be-ḳhatā meñ ḳhatāvār maiñ hī huuñ
ya.anī guloñ ke biich meñ ik ḳhaar maiñ hī huuñ
luuTā gayā thā kal jo sar-e-rāh qāfila
us qāfile kā qāfila-sālār maiñ hī huuñ
sach bolne ke jurm meñ jis ko sazā milī
dekho vo ḳhush-nasīb gunah-gār maiñ hī huuñ
ahl-e-vafā to pahle bhī chaḌhte the daar par
aaj is matā.a-e-haq kā talabgār maiñ hī huuñ
uf tak na kī ho jis ne mohabbat kī raah meñ
rote haiñ jis par ab dar-o-dīvār maiñ hī huuñ
dekhā hai jis ne daur-e-havādis qarīb se
pathrā ga.ī jo nargis-e-bīmār maiñ hī huuñ
letā huuñ rab kā naam musībat meñ aan kar
dair-o-haram ke biich giraftār maiñ hī huuñ
'ālam' ḳhudā ke vāste kah do jo dil meñ hai
bazm-e-suḳhan meñ aaj kā sardār maiñ hī huuñ
is shahr-e-be-KHata mein KHatawar main hi hun
yani gulon ke bich mein ek KHar main hi hun
luTa gaya tha kal jo sar-e-rah qafila
us qafile ka qafila-salar main hi hun
sach bolne ke jurm mein jis ko saza mili
dekho wo KHush-nasib gunah-gar main hi hun
ahl-e-wafa to pahle bhi chaDhte the dar par
aaj is mataa-e-haq ka talabgar main hi hun
uf tak na ki ho jis ne mohabbat ki rah mein
rote hain jis par ab dar-o-diwar main hi hun
dekha hai jis ne daur-e-hawadis qarib se
pathra gai jo nargis-e-bimar main hi hun
leta hun rab ka nam musibat mein aan kar
dair-o-haram ke bich giraftar main hi hun
'alam' KHuda ke waste kah do jo dil mein hai
bazm-e-suKHan mein aaj ka sardar main hi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.