is shahr ke logon mein wafa hai ki nahin hai
is shahr ke logoñ meñ vafā hai ki nahīñ hai
darvāza kisī ghar kā khulā hai ki nahīñ hai
lauT aa.ī haiñ chilman hī se Takrā ke nigāheñ
vo jān-e-hayā apnī jagah hai ki nahīñ hai
maujeñ mujhe sāhil kī taraf lā to rahī haiñ
ma.alūm nahīñ us kī razā hai ki nahīñ hai
yaaro mire dam tak to baḌā shor thā lekin
vīrāne meñ ab koī sadā hai ki nahīñ hai
jis daur meñ insāf ho qātil kā taraf-dār
us daur meñ jiinā bhī sazā hai ki nahīñ hai
ai bhūlne vaale mujhe itnā to batā de
is dard kī duniyā meñ davā hai ki nahīñ hai
manzil pe pahuñchne kā irāda hai to 'shādāñ'
ye fikr na kar rāh-numā hai ki nahīñ hai
is shahr ke logon mein wafa hai ki nahin hai
darwaza kisi ghar ka khula hai ki nahin hai
lauT aai hain chilman hi se Takra ke nigahen
wo jaan-e-haya apni jagah hai ki nahin hai
maujen mujhe sahil ki taraf la to rahi hain
malum nahin us ki raza hai ki nahin hai
yaro mere dam tak to baDa shor tha lekin
virane mein ab koi sada hai ki nahin hai
jis daur mein insaf ho qatil ka taraf-dar
us daur mein jina bhi saza hai ki nahin hai
ai bhulne wale mujhe itna to bata de
is dard ki duniya mein dawa hai ki nahin hai
manzil pe pahunchne ka irada hai to 'shadan'
ye fikr na kar rah-numa hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.