is shahr mein hasin the jitne baDe baDe
is shahr meñ hasīn the jitne baḌe baḌe
patthar hue haiñ raah meñ us kī khaḌe khaḌe
muñh lag na ham charāġhoñ ke ai sar-phirī havā
dekhe haiñ ham ne tujh se bhī dushman baḌe baḌe
jo log ek-dūje pe karte the jaañ nisār
kis kī nazar lagī hai ki sab haiñ laḌe laḌe
kab maiñ ne ye kahā hai ki baiTho mire qarīb
bas dekh jaao duur se mujh ko khaḌe khaḌe
apnī nazar meñ sher vo zevar se kam nahīñ
jis meñ hoñ harf jaise nagīne jaḌe jaḌe
Thokar lagā ke un kā muqaddar sañvār do
be-kār ho na jaa.eñ ye patthar paḌe paḌe
tum merī maut dekh ke rone lage 'jamīl'
guzre haiñ mujh pe is se bhī lamhe kaḌe kaḌe
is shahr mein hasin the jitne baDe baDe
patthar hue hain rah mein us ki khaDe khaDe
munh lag na hum charaghon ke ai sar-phiri hawa
dekhe hain hum ne tujh se bhi dushman baDe baDe
jo log ek-duje pe karte the jaan nisar
kis ki nazar lagi hai ki sab hain laDe laDe
kab main ne ye kaha hai ki baiTho mere qarib
bas dekh jao dur se mujh ko khaDe khaDe
apni nazar mein sher wo zewar se kam nahin
jis mein hon harf jaise nagine jaDe jaDe
Thokar laga ke un ka muqaddar sanwar do
be-kar ho na jaen ye patthar paDe paDe
tum meri maut dekh ke rone lage 'jamil'
guzre hain mujh pe is se bhi lamhe kaDe kaDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.