is surat-e-haalat mein bhi sabr karo ho
is surat-e-haalat mein bhi sabr karo ho
Sadiya Roshan Siddiqui
MORE BYSadiya Roshan Siddiqui
is sūrat-e-hālāt meñ bhī sabr karo ho
tum 'sa.adiya' biibī na jiyo ho na maro ho
sar apnā kisī sang se Takrātī ho pahle
phir baa'd meñ patthar vahī siine pe dharo ho
māñgī thiiñ duā.eñ kisī nādīda ufuq kī
ab raushnī-e-tab.a kī vus.at se Daro ho
mahfil meñ ho tanhā.ī kī chādar ko sañbhāle
tanhā.ī ke aalam meñ kise yaad karo ho
vo shaḳhs vahī hai magar atvār na.e haiñ
mohtāt sī ik raa.e kā iz.hār karo ho
kyā tum ne hadaf DhūñD liyā zor-e-bayāñ kā
kyā apne kiye par kabhī tanqīd karo ho
jab hausla himmat hai to kyā ḳhauf kisī kā
ye dard to mīrās hai kyā is se Daro ho
har ek sahelī kī jo āñkhoñ meñ namī hai
kyā apne dupaTTe meñ use jazb karo ho
ab 'sa.adiya' us kī koī tāvīl to hogī
jhulsī ho kahīñ dhuup meñ yuuñ abr karo ho
is surat-e-haalat mein bhi sabr karo ho
tum 'sadiya' bibi na jiyo ho na maro ho
sar apna kisi sang se Takraati ho pahle
phir ba'd mein patthar wahi sine pe dharo ho
mangi thin duaen kisi nadida ufuq ki
ab raushni-e-taba ki wusat se Daro ho
mahfil mein ho tanhai ki chadar ko sanbhaale
tanhai ke aalam mein kise yaad karo ho
wo shaKHs wahi hai magar atwar nae hain
mohtat si ek rae ka izhaar karo ho
kya tum ne hadaf DhunD liya zor-e-bayan ka
kya apne kiye par kabhi tanqid karo ho
jab hausla himmat hai to kya KHauf kisi ka
ye dard to miras hai kya is se Daro ho
har ek saheli ki jo aankhon mein nami hai
kya apne dupaTTe mein use jazb karo ho
ab 'sadiya' us ki koi tawil to hogi
jhulsi ho kahin dhup mein yun abr karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.