is talluq ko nibhao to koi sher kahun
is ta'alluq ko nibhāo to koī she'r kahūñ
tum agar sāmne aao to koī she'r kahūñ
Duub jaane pe hī gahrā.ī pata chaltī hai
aañkh se aañkh milāo to koī she'r kahūñ
maiñ kisī monalisa kā nahīñ qaa.il jānāñ
apnī tasvīr dikhāo to koī she'r kahūñ
aap kī chup se haiñ ḳhāmosh fazā.eñ saarī
aap hoñToñ ko hilāo to koī she'r kahūñ
tum sitāroñ ko gino aur maiñ dekhūñ tum ko
saath ik raat bitāo to koī she'r kahūñ
hazrat-e-qais ko kal shahr meñ dekhā to kahā
dasht meñ ḳhaak uḌaao to koī she'r kahūñ
vasl ke daur meñ kab she'r huā karte haiñ
tum mujhe chhoḌ ke jaao to koī she'r kahūñ
is ta'alluq ko nibhao to koi she'r kahun
tum agar samne aao to koi she'r kahun
Dub jaane pe hi gahrai pata chalti hai
aankh se aankh milao to koi she'r kahun
main kisi monalisa ka nahin qail jaanan
apni taswir dikhao to koi she'r kahun
aap ki chup se hain KHamosh fazaen sari
aap honTon ko hilao to koi she'r kahun
tum sitaron ko gino aur main dekhun tum ko
sath ek raat bitao to koi she'r kahun
hazrat-e-qais ko kal shahr mein dekha to kaha
dasht mein KHak uDao to koi she'r kahun
wasl ke daur mein kab she'r hua karte hain
tum mujhe chhoD ke jao to koi she'r kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.