is tarah basar apni kash zindagi hoti
is tarah basar apnī kaash zindagī hotī
zindagī bajā-e-ḳhud jān-e-be-ḳhudī hotī
husn kī tajallī kā mo'tarif huuñ maiñ lekin
mere ġham-kade meñ bhī kaash raushnī hotī
merī hī tarah nāzuk hissiyāt ke mālik
sach batā mire ġham se kyā tujhe ḳhushī hotī
kam se kam kisī had tak dil kī aag bujh jaatī
kaash merī āñkhoñ meñ is qadar namī hotī
shauq agar na bhar detā rang naqsh-e-ulfat meñ
husn kī adāoñ meñ kyā ye dilkashī hotī
jo mirī nigāhoñ kī taab lā nahīñ saktī
vo nazar agar uThtī jān-e-zindagī hotī
aap agar na le lete dāman-e-hifāzat meñ
sham’-e-zindagī apnī kab kī bujh ga.ī hotī
dard ke fasāne meñ iḳhtisār lāzim thā
yā'nī chand sāñsoñ meñ sharh-e-zindagī hotī
yā mujhe vo ḳhud se bhī be-niyāz kar dete
yā 'hazīñ' mire bas meñ merī zindagī hotī
is tarah basar apni kash zindagi hoti
zindagi baja-e-KHud jaan-e-be-KHudi hoti
husn ki tajalli ka mo'tarif hun main lekin
mere gham-kade mein bhi kash raushni hoti
meri hi tarah nazuk hissiyat ke malik
sach bata mere gham se kya tujhe KHushi hoti
kam se kam kisi had tak dil ki aag bujh jati
kash meri aankhon mein is qadar nami hoti
shauq agar na bhar deta rang naqsh-e-ulfat mein
husn ki adaon mein kya ye dilkashi hoti
jo meri nigahon ki tab la nahin sakti
wo nazar agar uThti jaan-e-zindagi hoti
aap agar na le lete daman-e-hifazat mein
sham’-e-zindagi apni kab ki bujh gai hoti
dard ke fasane mein iKHtisar lazim tha
ya'ni chand sanson mein sharh-e-zindagi hoti
ya mujhe wo KHud se bhi be-niyaz kar dete
ya 'hazin' mere bas mein meri zindagi hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.