is tarah chhoD ke jaane ko mujhe tu ne kaha
is tarah chhoḌ ke jaane ko mujhe tū ne kahā
jaise ye tū ne nahīñ phuul se ḳhushbū ne kahā
raat se kahnā ki ghabrā.e nahīñ ham haiñ naañ
dhund meñ Duubī huī shaam se jugnū ne kahā
itnā rotī hai to jā kaun rahegā tujh meñ
Tuut kar girte hue aañkh se aañsū ne kahā
mere shā'ir ko akelā na samajh ai duniyā
chalte chalte kisī parchhā.īñ ke baazū ne kahā
aise mat dekho ki phir dekh na paao kuchh bhī
merī nazroñ se tire husn ke jaadū ne kahā
bojh kyoñ dil pe liye sotā hai sone vaale
khul ga.ī aañkh to baniye se tarāzū ne kahā
terī masjid mire mandir meñ vahī rahtā hai
ek mullā se gale mil ke ye sādhū ne kahā
'ishq kar 'ishq mire dil se kahā dhaḌkan ne
raqs kar raqs mire paañv se ghuñghrū ne kahā
is tarah chhoD ke jaane ko mujhe tu ne kaha
jaise ye tu ne nahin phul se KHushbu ne kaha
raat se kahna ki ghabrae nahin hum hain nan
dhund mein Dubi hui sham se jugnu ne kaha
itna roti hai to ja kaun rahega tujh mein
Tut kar girte hue aankh se aansu ne kaha
mere sha'ir ko akela na samajh ai duniya
chalte chalte kisi parchhain ke bazu ne kaha
aise mat dekho ki phir dekh na pao kuchh bhi
meri nazron se tere husn ke jadu ne kaha
bojh kyon dil pe liye sota hai sone wale
khul gai aankh to baniye se taraazu ne kaha
teri masjid mere mandir mein wahi rahta hai
ek mulla se gale mil ke ye sadhu ne kaha
'ishq kar 'ishq mere dil se kaha dhaDkan ne
raqs kar raqs mere panw se ghunghru ne kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.