is tarah dekhta hun udhar wo jidhar na ho
is tarah dekhtā huuñ udhar vo jidhar na ho
jaise dikhā.ī de koī sūrat magar na ho
ye shahr-e-nā-shanās hai kyā is kā e'tibār
achchhā rahegā vo jo yahāñ mo'atabar na ho
is tarah chal rahā hai ra.ūnat ke saath vo
jaise ḳhirām-e-nāz se aage safar na ho
maiñ aaj huuñ so mujh ko samā.at bhī chāhiye
mumkin hai ye suḳhan kabhī bār-e-digar na ho
hone do aaj shāḳh-e-tamannā ko bārvar
mumkin hai kal nafas kā yahāñ se guzar na ho
maiñ bhī dikhā.ūñ shauq kī jaulāniyāñ tujhe
ye musht-e-ḳhāk raah meñ haa.il agar na ho
nām-o-numūd se mujhe aise gurez hai
jaise ye kār-e-ḳhair ho kār-e-hunar na ho
apnā pata bhī DhūñDne jaanā hai ek din
filhāl chāhtā huuñ ki tū dar-ba-dar na ho
ik ye fareb dekhnā baaqī hai vaqt kā
dil Duub jaa.e aur dobāra sahar na ho
ye kyā ki ham-rikāb rahe ḳhāk-e-rahguzar
kis kaam kā junūñ jo qadam dasht-bhar na ho
is tarah dekhta hun udhar wo jidhar na ho
jaise dikhai de koi surat magar na ho
ye shahr-e-na-shanas hai kya is ka e'tibar
achchha rahega wo jo yahan mo'atabar na ho
is tarah chal raha hai raunat ke sath wo
jaise KHiram-e-naz se aage safar na ho
main aaj hun so mujh ko samaat bhi chahiye
mumkin hai ye suKHan kabhi bar-e-digar na ho
hone do aaj shaKH-e-tamanna ko barwar
mumkin hai kal nafas ka yahan se guzar na ho
main bhi dikhaun shauq ki jaulaniyan tujhe
ye musht-e-KHak rah mein hail agar na ho
nam-o-numud se mujhe aise gurez hai
jaise ye kar-e-KHair ho kar-e-hunar na ho
apna pata bhi DhunDne jaana hai ek din
filhaal chahta hun ki tu dar-ba-dar na ho
ek ye fareb dekhna baqi hai waqt ka
dil Dub jae aur dobara sahar na ho
ye kya ki ham-rikab rahe KHak-e-rahguzar
kis kaam ka junun jo qadam dasht-bhar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.