is tarah duniya ke dil mein ghar bana
is tarah duniyā ke dil meñ ghar banā
apnī tarz-e-guftugū behtar banā
soch se hai irtiqā.ī inqalāb
soch ko apnī na tū patthar banā
jis ke gird-o-pesh ghūme kā.enāt
ho sake to ḳhud ko vo mehvar banā
raushnī jitnī banā.ī aap ne
ye añdherā aur tāqat-var banā
har taraf kār-e-hifāzat dekh kar
aur bhī shiddat se dil meñ Dar banā
tilmilā uTheñ sabhī so.e zamīr
aise kuchh hassās-tar nashtar banā
mashq kī hai kitne shīshe toḌ kar
tab 'sa.ādat' ek shīshagar banā
is tarah duniya ke dil mein ghar bana
apni tarz-e-guftugu behtar bana
soch se hai irtiqai inqalab
soch ko apni na tu patthar bana
jis ke gird-o-pesh ghume kaenat
ho sake to KHud ko wo mehwar bana
raushni jitni banai aap ne
ye andhera aur taqat-war bana
har taraf kar-e-hifazat dekh kar
aur bhi shiddat se dil mein Dar bana
tilmila uThen sabhi soe zamir
aise kuchh hassas-tar nashtar bana
mashq ki hai kitne shishe toD kar
tab 'saadat' ek shishagar bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.