is tarah eatibar karte rahe
is tarah e.atibār karte rahe
saarī hastī nisār karte rahe
dil jalāyā kiye diye kī jagah
ranj-o-ġham āshkār karte rahe
merī chāhat ko āzmāyā kiye
be-ruḳhī iḳhtiyār karte rahe
ham to ahd-e-vafā nibhāyā kiye
vo hameñ sharmsār karte rahe
un se iz.hār-e-ġham gunah hī sahī
ham use baar baar karte rahe
kaisā va.ada kiyā thā aane kā
aaj tak intizār karte rahe
phuul kumhlā ga.e chaman ke magar
log jashn-e-bahār karte rahe
ham taḌapte rahe 'adā' har dam
chashm-e-ġham ashk-bār karte rahe
is tarah eatibar karte rahe
sari hasti nisar karte rahe
dil jalaya kiye diye ki jagah
ranj-o-gham aashkar karte rahe
meri chahat ko aazmaya kiye
be-ruKHi iKHtiyar karte rahe
hum to ahd-e-wafa nibhaya kiye
wo hamein sharmsar karte rahe
un se izhaar-e-gham gunah hi sahi
hum use bar bar karte rahe
kaisa wada kiya tha aane ka
aaj tak intizar karte rahe
phul kumhla gae chaman ke magar
log jashn-e-bahaar karte rahe
hum taDapte rahe 'ada' har dam
chashm-e-gham ashk-bar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.