is tarah gum hun KHayalon mein kuchh ehsas nahin
is tarah gum hun KHayalon mein kuchh ehsas nahin
Vishnu Kumar Shauq
MORE BYVishnu Kumar Shauq
is tarah gum huuñ ḳhayāloñ meñ kuchh ehsās nahīñ
kaun hai paas mire kaun mire paas nahīñ
dard jab had meñ rahe dard kā bhī lutf mile
ye bhī kyā ġham hai ki jis ġham kā kuchh ehsās nahīñ
is tarah shauq-e-mohabbat meñ na gum ho koī
mujh ko ulfat bhī kisī se hai ye ehsās nahīñ
ye haiñ ulfat ke karishme ki ilāhī tauba
yuuñ mire paas haiñ vo jaise mire paas nahīñ
kāñToñ ko rauñdtā maiñ baḌhtā chalā jaatā huuñ
shauq-e-dīdār meñ manzil kā bhī ehsās nahīñ
sub.h kā taarā bhī mādūm huā jaatā hai
'shauq' ab us ke karam kī hameñ kuchh aas nahīñ
is tarah gum hun KHayalon mein kuchh ehsas nahin
kaun hai pas mere kaun mere pas nahin
dard jab had mein rahe dard ka bhi lutf mile
ye bhi kya gham hai ki jis gham ka kuchh ehsas nahin
is tarah shauq-e-mohabbat mein na gum ho koi
mujh ko ulfat bhi kisi se hai ye ehsas nahin
ye hain ulfat ke karishme ki ilahi tauba
yun mere pas hain wo jaise mere pas nahin
kanTon ko raundta main baDhta chala jata hun
shauq-e-didar mein manzil ka bhi ehsas nahin
subh ka tara bhi madum hua jata hai
'shauq' ab us ke karam ki hamein kuchh aas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.