is tarah hum hain kisi ke waste
is tarah ham haiñ kisī ke vāste
vazn jaise shā'irī ke vāste
merī qismat meñ use likh is tarah
fātima jaise 'alī ke vāste
ik paḌosī raat bhar rotā rahā
ik paḌosī kī ḳhushī ke vāste
kuchh dinoñ kā faqr-o-fāqa aur ġham
kyā bhalā ik jannatī ke vāste
jis ne baḳhshe haiñ hameñ pyāre rasūl
saarī tā’rīfeñ usī ke vāste
baap ke paañv dabā.e 'umr-bhar
maañ ke chehre kī ḳhushī ke vāste
is tarah hum hain kisi ke waste
wazn jaise sha'iri ke waste
meri qismat mein use likh is tarah
fatima jaise 'ali ke waste
ek paDosi raat bhar rota raha
ek paDosi ki KHushi ke waste
kuchh dinon ka faqr-o-faqa aur gham
kya bhala ek jannati ke waste
jis ne baKHshe hain hamein pyare rasul
sari ta’rifen usi ke waste
bap ke panw dabae 'umr-bhar
man ke chehre ki KHushi ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.