is tarah humne sar-e-dar bhi sardari ki
is tarah ham ne sar-e-dār bhī sardārī kī
ashk roke hue hañsne kī adākārī kī
shaam kī baat pe āñkhoñ kā chhalaknā ma.amūl
kaifiyat ḳhud pe zabardastī nahīñ taarī kī
saañs lene kī ye tartīb huī tere baad
raat ko nauha paḌhā din ko azā-dārī kī
maslahat jaan ke niklā thā kabhī ghar se maiñ
ghar ko phir lauT ke aaya huuñ samajhdārī kī
zābte ishq meñ bhūle haiñ safar karne ke
terā bhī bojh uThāyā hai kamar bhārī kī
haa.e afsos garebān na dekhā us ne
haa.e kam-zarf ne ġhairoñ kī taraf-dārī kī
'mīr' ke sher ne urdu ko jilā baḳhshī hai
aur 'ġhālib' ne mohabbat kī sanad jaarī kī
is tarah hum ne sar-e-dar bhi sardari ki
ashk roke hue hansne ki adakari ki
sham ki baat pe aankhon ka chhalakna mamul
kaifiyat KHud pe zabardasti nahin tari ki
sans lene ki ye tartib hui tere baad
raat ko nauha paDha din ko aza-dari ki
maslahat jaan ke nikla tha kabhi ghar se main
ghar ko phir lauT ke aaya hun samajhdari ki
zabte ishq mein bhule hain safar karne ke
tera bhi bojh uThaya hai kamar bhaari ki
hae afsos gareban na dekha us ne
hae kam-zarf ne ghairon ki taraf-dari ki
'mir' ke sher ne urdu ko jila baKHshi hai
aur 'ghaalib' ne mohabbat ki sanad jari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.