is tarah hamein kab tak zindagi bitani hai
is tarah hameñ kab tak zindagī bitānī hai
tishnagī kā sahrā hai chhāñv hai na paanī hai
har na.ī musībat par aise muskurātā huuñ
jaise merī har ġham se dostī purānī hai
hasrat-e-mohabbat meñ ārzū-e-jānāñ meñ
jaane kitne shahroñ kī maiñ ne ḳhaak chhānī hai
aaj mere sāġhar meñ ġham kā ik samundar hai
aaj mujh ko sadiyoñ kī tishnagī bujhānī hai
is hasīn manzar kī khīñch le koī tasvīr
āñsuoñ kī nahroñ meñ in dinoñ ravānī hai
ai 'nazar' mohabbat meñ ġham se hārnā kaisā
jis tarah bhī mumkin ho zindagī bitānī hai
is tarah hamein kab tak zindagi bitani hai
tishnagi ka sahra hai chhanw hai na pani hai
har nai musibat par aise muskuraata hun
jaise meri har gham se dosti purani hai
hasrat-e-mohabbat mein aarzu-e-jaanan mein
jaane kitne shahron ki main ne KHak chhani hai
aaj mere saghar mein gham ka ek samundar hai
aaj mujh ko sadiyon ki tishnagi bujhani hai
is hasin manzar ki khinch le koi taswir
aansuon ki nahron mein in dinon rawani hai
ai 'nazar' mohabbat mein gham se haarna kaisa
jis tarah bhi mumkin ho zindagi bitani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.